yeh hasin vaadiya yeh khula aasmaan aa gaye hum kaha ai mere saajna in bahaaro me dil ki kali khil gayi mujhko tum jo mile har khushi mil gayi
tere hontho pe hai husn ki bijliya tere gaalo pe hai julf ki badaliya tere baalo ki khushbu se mehke chaman sangmarmar ke jaisa yeh tera badan
mere jaanejaan yeh hai teri chandani chhed do tum aaj koi pyar ki raagini yeh hasin vaadiya yeh khula aasmaan aa gaye hum kaha ai mere saajna
yeh bandhan hai pyar ka dekho tute na sajni yeh janmo ka sath hai dekho chhute na sajna tere aanchal ki chhaanv ke tale meri manjil mujhe mil gayi teri palako ki chhaanv ke tale mohabbat mujhe mil gayi
yeh hasin vaadiya yeh khula aasmaan aa gaye hum kaha ai mere saajna in bahaaro me dil ki kali khil gayi mujhko tum jo mile har khushi mil gayi yeh hasin vaadiya yeh khula aasmaan aa gaye hum kaha ai mere saajna
ji karta hai saajna dil me tumko bitha lu aa masti ki raat me apna tumko bana lu uthne lage hai tufaan kyo mere sine me ai sanam tumhe chaahunga dilo jaan se meri jaanejaan teri kasam
yeh hasin vaadiya yeh khula aasmaan aa gaye hum kaha ai mere jaanejaan in bahaaro me dil ki kali khil gayi mujhko tum jo mile har khushi mil gayi
mere jaanejaan yeh hai teri chandani chhed do tum aaj koi pyar ki raagini yeh hasin vaadiya yeh khula aasmaan aa gaye hum kaha ai mere saajna yeh hasin vaadiya yeh khula aasmaan aa gaye hum kaha ai mere saajnaTeksty umieszczone na naszej stronie są własnością wytwórni, wykonawców, osób mających do nich prawa.