Tere hi ghar ke raston par Ab mera dum nikle Jaaun jahan bhi teri hi baahon Mein har pal nikle
Chahe mile sau sau gham phir bhi Tujhse hi hum sambhle Tere hi ghar ke raston par Ab mera dum nikle
Khud ko mere yaara tujhpe luta diya Manzil ko apni tera rasta bana liya
Ban jaun dava tere saare gham ki Khwaab yahi rahe Tere hi ghar ke raston par Ab mera dum nikle
Vajib hai ishq mein tere Aisa junoon mile Jab bhi tujhko dekhun Phir hi sukoon mile
Na door tu mujhse ho jaaye Har dhadkan yeh kahe
Tere hi ghar ke raston par Ab mera dum nikle Jaaun jahan bhi teri hi baahon Mein har pal nikleTeksty umieszczone na naszej stronie są własnością wytwórni, wykonawców, osób mających do nich prawa.