Mujhe baksh de, mujhe bakhsh de Ya mere ghafoor-ur-raheem
Main reza reza bikhar raha hoon Sambhaal mujhe Andhera mujh mein utar raha hai Ujaal mujhe
Main reza reza bikhar raha hoon Sambhaal mujhe Andhera mujh mein utar raha hai Ujaal mujhe
Main khud se bichhad gaya hoon Jaise aag se dhuaan Naa zameen na aasmaan hai Yeh main aa gaya kahaan..
Mujhe mera pata de khudara Koi rasta bata de khudara Mujhe mera pata de khudara Koi rasta bata de khudara
Aaya kahaan se itna zehar lahu mein Ganga ka paani behta tha mere vazu mein Jo dikhta hai woh mera wajood nahi Aaj main apne aap mein kyun maujood nahi
Woh nahi tha jab humara Toh uska gham hai kyun Dil jal raha hai lekin Yeh aankh namm hai kyun
Mujhe mera pata de khudara Koi rasta bata de khudara Mujhe mera pata de khudara Koi rasta bata de khudara
Le le meri saansein mujhko mar jaane de Jaane kab se be-ghar hoon ab ghar aane de Kaabe tak tujhe main sochun Tera khayal karun Saamne aa main tujhse ek sawal karun
Main ghalat hoon ya ke duniya Yaa kahin ghalat hai tu Mujhe de jawaab maula Main hoon tere rubaru..
Mujhe mera pata de khudara Koi rasta bata de khudara Mujhe mera pata de khudara Koi rasta bata de khudaraTeksty umieszczone na naszej stronie są własnością wytwórni, wykonawców, osób mających do nich prawa.