Ho tukdon mein bikhra andhera Chamka sitara jo tera Ambar pe aa dastkhat kar de Tu ab talak tha adhoora Hone hi wala hai poora Hadd se guzar ja tu hadd kar de Hai chaah toh hai raasta Ye jaan le zara Mumkeen nahin hai kya agar Tu thaan le zara
Teri baari hai kamar kas le Tere bas mein hai saare masle Tere toote hue dil ki zameeno pe Himmat ki ugaa le faslein
Tere hathon mein karam hai tera Aur khoon garam hai tera Koi teer nishane se chooke na Jam ke kadam rakh le
Khud mein tu hathiyar hai Ladne ko taiyaar hai Danke ki ik chot ke jaisa Har tera vaar hai Manzil tujhpe hai fidaa Tera haafiz hai Khuda Kuch aisa karja ke wo bhi tujhse pooche Bande batla de teri marzi hai kya
Har darr ka hata de kohra Taaqat tu ban mohra Har lakshya ko bhed ke dikhla de Arjun ki kahaani dohra
Marham ho haraam tera Aur zakhm inaam tera Bheega ho jo tere paseene mein Wohi jeet ka ho chehra
Mana ab hai farsh par Tera haq to hai shikhar Har bhandhan se toot ke Apni manzil pe tu kooch kar Charcha ho is baat ka Duniya ki zubaan par Upar wale ne banaya hai kya Tere dono haathon ko talwarein pighla kar
Wo… o…Teksty umieszczone na naszej stronie są własnością wytwórni, wykonawców, osób mających do nich prawa.