Toota hai bohat yeh dil mera Aansu hain badi tanhaai hai Jabse teri baahon mein humein Aane ki huyi manahi hai
Kuchh yaadein jo teri baaki hain Jo dil ko bohat satati hain Kaate se nahi kat'ta lamha Kyun dedi tanhaai
Kuchh yaadein jo teri baaki hain Jo dil ko bohat satati hain Kaate se nahi kat'ta lamha Kyun dedi tanhaai
Wo hath jo kal tak hath mein tha Ab chhoone se katrata hai Har lamha kal tak sath mein tha Ab milne tak nahi aata hai
Yeh soch ke neend na aati hai Aur dil mein ek udasi hai Kyun toone kiya humko tanha Kyun de di yeh judaai
Hothon pe hansi na aati hai Aankhein bhi nam ho jaati hain Achha hi nahi lagta jeena Kyun de di yeh judaai
Is ishq mein tere hathon se Yahi cheez hamein mil payi hai Kyun de di toone judaai hai Kyun dedi tanhaai
Tanhaai hai humsafar Tanhaai hai har dagar Tanhaai hai har pehar Tanhaai shaamo sehar
Tanhaai hai har taraf Tanhaai hai had-e-nazar Tanhaai hai arsh tak Tanhaai hai ab farsh tak
Mere hisse mein hisse mein gamm hi aaye hain Tere hisse mein hisse mein khushiyan Meri aankhon mein aankhon mein ashk aaye hai Tere hothon pe hothon pe hassna
Toota hai bohat yeh dil mera Aansu hain badi tanhaai hai Jab se teri baahon mein hamein Aane ki huyi manahi haiTeksty umieszczone na naszej stronie są własnością wytwórni, wykonawców, osób mających do nich prawa.