Do kadam chalne ki chahat thi uss raste par Jis par chalne ko hath thama tha tumne Lagta tha bas yehi pahunchayegi Manzil-e-safar tak
Khoj poori ho gayi Shayad aisa ehsas ho gaya tha Andar ke dard Abhi kuch der pehle tak dukhte the Girne waale to na the hum kabhi Giraane waale ka hunar to dekhiye Humne aah bhi kari to humein hi sunai na di
Pighalte gaye uski saason mein har pal Saamne woh tha to har sabr kho baithe Sirf chaha ki woh chahe mujhe itna Jitna maine usko chaha Haule se kab hua yeh Ki kisi aur ka hokar Phir meri or dekh kar kaha Ki kami hai teri Halki si mazak bankar reh gayi khuddari meri Ab na hoga mujhse yeh khel dubara Yeh khel dubara
Zehar vekh ke pitta te ki kitta Ishq soch ke kitta te ki kitta Dil de ke dil lain di Aas rakhi ve bulleya ve bulleya Pyar vi lalach naal kitta te ki kitta
Par tum mein shayad kuch khaas hai Tumhari akhon mein bacchon ki si aas hai Tumhare akhon ke sheeshe mein Mera chehra dikha hai mujhe Mere chehre ki rangat Kya khoob dikhti hai inme Sochte hain ab inhi mein rahenge
Zehar vekh ke pitta te ki kitta Ishq soch ke kitta te ki kitta Dil de ke dil lain di Aas rakhi ve bulleya ve bulleya Pyar vi lalach naal kitta te ki kitta
Chal zindagi main ishq ke Juyein ke liye phir taiyar hoon Saari baaziyan tu khel phir mujhko mitti mein rel Sab karke dekha ishq mein hi chhupi ibadat hai Waqt agar zindagi to ishq khuda hai Har pal mein ishq mitti mein ishq Hawaon mein aur kya hai baaki
Ishq khuda hai Ishq khuda hai..Teksty umieszczone na naszej stronie są własnością wytwórni, wykonawców, osób mających do nich prawa.