Kas Ke Joota Kas Ke Belt Khons Ke Andar Apni Shirt Manzil Ko Chali Sawaari Kandho Pe Zimmedari
Haath Mein File Man Mein Dum Meelon Meel Chalenge Hum Har Muskil Se Takrayenge Tas Se Mus Na Honge Hum
Duniya Ka Naara Jame Raho Manzil Ka Ishaara Jame Raho Duniya Ka Naara Jame Raho Manzil Ka Ishaara Jame Raho
Ye Sote Bhee Hain Attention Aage Rehne Ki Hai Tension Mehnat Inko Pyari Hai Ekdum Aagyakari Hain
Ye Omlet Par Hi Jeete Hain Ye Tonic Saare Peete Hain Waqt Pe Sote Waqt Pe Khate Taan Ke Seena Badhte Jate
Duniya Ka Naara Jame Raho...
Yahaan Alag Andaz Hai Jaise Chidta Koi Saaz Hai Har Kaam Ko Taala Karte Hain Ye Sapne Paala Karte Hain
Ye Hardum Socha Karte Hain Ye Khud Se Poocha Karte Hain
Kyon Duniya Ka Naara Jame Raho...
Ye Waqt Ke Kabhi Ghulam Nahin Inhain Kisi Baat Ka Dhyan Nahin Titli Se Milne Jaate Hain Ye Pedon Se Batiyate Hain
Ye Hawa Batora Karte Hain Barish Ki Boondein Padhate Hai Aur Aasmaan Ke Canvas Pe Ye Kalakariyan Karte Hain
Duniya Ka Naara Jame Raho... Teksty umieszczone na naszej stronie są własnością wytwórni, wykonawców, osób mających do nich prawa. |
|