Hai liye hathiyaar dushman taak mein baitha udhar Aur hum taiyyaar hain seena liye apna idhar Khoon se khelenge holi gar vatan muskhil mein hai Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai Haath jin mein ho junoon katt te nahi talvaar se Sar jo uth jaate hain voh jhukte nahi lalkaar se Haath jin mein ho junoon katt te nahi talvaar se Sar jo uth jaate hain voh jhukte nahi lalkaar se Aur bhadkega jo shola-sa humaare dil mein hai Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai Hum to ghar se nikle hi the baandhkar sar pe qafan Chaahatein liin bhar liye lo bhar chale hain ye qadam Zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai Dil mein tuufaanon ki toli aur nason mein inquilaab Hosh dushman ke udaa denge humein roko na aa Duur reh paaye jo humse dam kahaan manzil mein hai Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai - 2Teksty umieszczone na naszej stronie są własnością wytwórni, wykonawców, osób mających do nich prawa.