zamaane me aji aise kai naadan hote hai vaha le jate hai kashti jaha tufan hote hai
shama ki bazm me aa kar ke paravane samajhte hai yahi par umr guzaregi ya divaane samajhte hai magar ik raat ke ya to faqat mehaman hote hai magar ik raat ke ya to faqat mehaman hote hai zamaane me aji aise kai naadan hote hai
mohabbat sabki mahfil me shama ban kar nahi jalti shama ban kar nahi jalti hasino ki nazar sab pe chhuri ban kar nahi chalti jo hai taqadir vale bas vahi kurban hote hai jo hai taqadir vale bas vahi kurban hote hai vaha le jate hai kashti jaha tufan hote hai zamaane me aji aise kai naadan hote hai
dubo kar dur saahil se nazara dekhane vaale nazara dekhane vaale lagaa kar aag chupke se tamaashaa dekhne vaale tamasha aap bante hai to kyo hairan hote hai tamasha aap bante hai to kyo hairan hote hai zamaane me aji aise kai naadan hote haiTeksty umieszczone na naszej stronie są własnością wytwórni, wykonawców, osób mających do nich prawa.