Dil ki purani sadak par Badla to kuch bhi nahin Mujhe thaam kar chal raha hai Tu hi bas tu hi har kahin
Naye phool dil ki zameen pe khilenge Hai milna humein phir se milke rahenge Sitaare wahin hai wahin aasman hai Meri dhadkano mein teri daastan hai Main aawara lamha tu hai mera mukaam
Kaise juda hote hum tum Bichhade hi jab hum nahin Mujhe thaam kar chal raha hai Tu hi bas tu hi har kahin
Na saanson se shikva na mitne ka dar hai Tujhi se tujhi tak yeh mera safar hai Tujhe sochta hu to khushbu si barse Andheron se mere ujaale yeh chhalke Ke dariya bahe jaise ek noor ka
Tu rooh ka humnava hai Ye jismon ka rista nahin Mujhe thaam kar chal raha hai Tu hi bas tu hi har kahin
Dil ki purani sadak par Badla to kuch bhi nahin Mujhe tham kar chal raha hai Tu hi bas tu hi har kahinTeksty umieszczone na naszej stronie są własnością wytwórni, wykonawców, osób mających do nich prawa.