Hmm jaan-e-man jaan-e-man Jaan-e-man jaan-e-man Hm hm hm, hm hm hm Jaan-e-man jaan-e-man Jaan-e-man kisi ka naam nahin Phir bhi yeh naam honthon pe na ho Aisi koi subah nahin, shaam nahin Jaan-e-man jaan-e-man Jaan-e-man jaan-e-man Mainne sifr khayaalon se, khwaabon ki sej sajaayi hai Dil ki khaali deewaron par ik tasveer banaayi hai Tasveeron pe marta hoon, waqt guzaara karta hoon Main mehboob ki galiyon ka, koi aashiq badnaam nahin Jaan-e-man jaan-e-man Jaan-e-man jaan-e-man Kal ki baat khuda jaane par aaj talaq woh baat nahin Kal ki baat khuda jaane par aaj talaq woh baat nahin Dil par baadal chaaye hain par aankhon mein barsaat nahin Aisa main deewana hoon, aisa main mastaana hoon Pyaas to hai in honthon par, lekin haathon mein jaam nahin Jaan-e-man jaan-e-man Jaan-e-man jaan-e-man Jaan-e-man kisi ka naam nahin Phir bhi yeh naam honthon pe na ho Aisi koi subah nahin, shaam nahin Jaan-e-man jaan-e-man Jaan-e-man jaan-e-man Hm hm hm, hm hm hm Hm hm hm, hm hm hmTeksty umieszczone na naszej stronie są własnością wytwórni, wykonawców, osób mających do nich prawa.