Suno daastaan yeh meri Suno meri yeh kahaani Koi mera tha deewana Main bhi jiski thi deewani Haai kaise the iraade Jeene marne ke the vaade Todi thi duniya ki rasmein Khaayi thi ulfat ki kasmein Maine khaayi kasam thi sachchi Maine khaayi kasam thi sachchi Par uski kasam thi kachchi Ke tut gayi tadak karke Ke tut gayi tadak karke Haai ke tut gayi tadak karke Ke tut gayi tadak karke
Jab voh milne ko aata tha Mere kaise gud gaata tha Mujhko hoor pari kehta tha Mujhko dekhta hi rehta tha Kehta tha jo bhi ho jaaye Hum na honge kabhi paraaye Chaahe saari duniya roke par Yeh milan rahega hoke Tere pyaar mein voh jaadu hai Ke ab dil mein tu hi tu hai Daaka daala na ki chori Maine pyaar kiya hai gori Chhodoonga na baiyyaan tohri Chhodoonga na baiyyaan tohri Par aisi thi pyaar ki dori Ke tut gayi tadak karke Ke tut gayi tadak karke Haai ke tut gayi tadak karke Ke tut gayi tadak karke
Jab thi main uski mannchaahi Main manzil thi voh tha raahi Main dhadkan thi voh mera dil Main thi laher voh mera saahil Kaise din the kaisi raatein Kaisi pyaari thi voh baatein Kaisi mauj mein hum rehte the Kaise khoye se rehte the Kaise roothte aur mante the Kaise jhoot moot bante the Aankhon mein hai voh tasveerein Dil par chalti hai shamsheerein Yaad aati hai voh dildaarein Yaad aati hai voh dildaarein Par jhoothi thi uski laarein Ke tut gayi tadak karke Ke tut gayi tadak karke Ke tut gayi tadak karke Ke tut gayi tadak karkeTeksty umieszczone na naszej stronie są własnością wytwórni, wykonawców, osób mających do nich prawa.