Yeh wo jagah hai jis par kabhi Khailay thay hum tum Mil kar sabhi Beeti hoi unn yadon mai Pyaari pyaari unn baaton mai Dhoondhoon tujhe har taraf Dhoondhoon tujhe apna khwabon mai
Yaadon mai tu Yaadon mai tu Yaadon mai tu Yaadon mai tu
Masoom sae hum khushion bharay Inn titliyon kae sung urtay chalay Jaanay kahan yeh sab kho gaey Ub yeh dua hai Yoon he rahain hum Mil kar sabhi Chutay na ub yeh Saath kabhi
Iss dosti ki chaoon talay Sab mushkilon mai hum saath chalay Ik dosray sae khushi sabhi Dil yeh kahay ( hoOo )
Yeh wo jagah hai jis par kabhi Khailay thay hum tum Mil kar sabhi Beeti hoi unn yadon mai Pyaari pyaari unn baaton mai Dhoondhoon tujhe har taraf Dhoondhoon tujhe apna khwabon mai
Sarzameen
Meri maan ki goad hai mere khwabon ki Sarzameen Iss Sarzameen ko choar kae jaana nahi kaheen
Sabza uga to auj pae parcham khulla kaheen Jaaga lahu to ghar ka andhera mita kaheen Yeh ghar mere liyay kisi jannat sae kamm nahi Iss Sarzameen ko choar kae jaana nahi kaheen
Sehra diloon mai phool khilaaey teri bahaar Bheegi zameen pae khwab ugaaey teri bahaar Taabeer jin ki hai mere geeton sae bhi haseen Yeh ghar mere liyay kisi jannat sae kam nahi
Meri maan ki goad hai mere khwabon ki sarzameen Iss sarzameen ko choar kae jaana nahi kaheen
Saltanat
Aa chaltay hain uss nagri mai Jahan panchi urtay rehtay hain Parbat sae jharnay behtay hain Jahan aankhon mai kuch sapnay hain Koi ghair nahi sab apnay hain
Jahan nadiya pyaar ki behti hai Aur meethay suron mai kehti hai Yeh basti hai dil ki saltanat Yeh basti hai dil ki saltanat Aur dil hai hukmaraan
Iss dil ki banjar dharti par Aik nafrat ugti rehti hai Aik aas sulagti rehti hai Koi chupkay sae aajaiga Aur apna mujhe banaeyga
Mera haath wo haath mai thaamay ga Uss paar mujhe lay jaeyga Jahan chaahat ki hai saltanat Jahan chaahat ki hai saltanat Chaahat hai aasmaan
Yeh duniya hai aik saltanat Yahan sab ka apna raaj hai Aik zeher mai dooba samaaj hai Yahan rooh tarapti rehti hai Kaisay kaisay dukh sehti hai
Rishtay bus duniyadaari hai Aur chaaron taraf ayyaari hai O rabba kaisi hai yeh saltanat Rabba kaisi hai yeh saltanat Aur kaisa hai jahan Hai jahan Hai jahanTeksty umieszczone na naszej stronie są własnością wytwórni, wykonawców, osób mających do nich prawa.