Toh kya hua, judaa huve Magar hai khushi mile toh thhe Toh kya hua, mude raaste Kuch door sang chale toh thhe
Dobara milenge kisi mod pe Jo baaqi hai woh baat hogi kabhi Chalo aaj chalte hain hum
Phir mulaqat hogi kabhi Phir mulaqat hogi kabhi Judaa ho rahe hain kadam Phir mulaaqat hogi kabhi
Dukhaaun main dil jaate jaate tera Mera aisa koi iraada nahi Chhupa lunga main hans ke aansu mere Yeh teri khushi se toh zyada nahi
Jo bichde nahi toh phir kya mazaa Zaroori hai rehni bhi thodi kami Nahi hoga kuch bhi khatam
Phir mulakat hogi kabhi Phir mulakat hogi kabhi Judaa ho rahe hain kadam Phir mulaaqat hogi kabhi
Sitaaron ki iss bheed ko gaur se Ik aakhiri baar phir dekh lo Ye jo do alag se hain baithe huve Ye tum ho, ye main hoon, yehi maan lo Yeh din mein nahin nazar aayenge Magar kal ko jab raat hogi kabhi Jo yeh roshni hogi kamm…
Phir mulaqaat hogi kabhi Phir mulaqaat hogi kabhi Juda ho rahe hain kadam Phir mulaaqat hogi kabhi Mmm…Teksty umieszczone na naszej stronie są własnością wytwórni, wykonawców, osób mających do nich prawa.