Jo humnava the Ab woh khafa hain Kal humsafar the Ab hain judaa
Kyun asuon se likhne lagi hai Ab zindgaani yeh dastaan
Pehle the hanse jitna Ab utna bura lagta hai Sab to kho gaya mujhse Ab kiske liye rukna hai
Phir chala phir chala Unn raahon se dil chala Phir chala phir chala Unn raahon se dil chala
Paane ki chahat mein kho gaya Khwaabon ke hathon se dil gir gaya Tooti jo neendein dikha hi nahi Jaane kahan woh musafir gaya
Nikle the sahi karne hum Phir bhi galat hi hua hai Anjane mein jaane kaise Humse gunah ho gaya hai
Phir chala phir chala Unn raahon se dil chala Phir chala phir chala Unn raahon se dil chala
Takdeeron ki is ladai mein Baithe hain rishte yeh haare huye Bechare dil ko to puchho koyi Iski khushi isko kya chahiye
Rehti thi jahan raunak Ab ghar woh soona pada hai Woh jo khwab dekha tha Sau tukdon mein toota pada haiTeksty umieszczone na naszej stronie są własnością wytwórni, wykonawców, osób mających do nich prawa.