Kehne ko Jashn-e-bahara hai Ishq yeh dekhke hairaan hai Kehne ko Jashn-e-bahara hai Ishq yeh dekhke hairaan hai
Phool se khusboo khafa khafa hai gulshan mein Chupa hai koi ranj fiza ki chilman mein Sare sehmein nazare hain Soye soye vaqt ke dhare hain Aur dil mein koi khoye si baatein hain
Ooooo hooooo…
Kehne ko Jashn-e-bahara hai Ishq yeh dekhke hairaan hai
Phool se khusboo khafa khafa hai gulshan mein Chupa hai koi ranj fiza ki chilman mein
Kaise kahen kya hai sitam Sochte hai ab yeh hum Koi kaise kahen woh hai ya nahi humare
Karte to hai saath safar Faasle hain phir bhi magar Jaise milte nahi kisi dariya ke do kinare
Pass hain phir bhi paas nahi Humko yeh gum raas nahi Seeshe ki ek diware hai jaise darmiya
Sare sehmein nazare hain Soye soye vaqt ke dhare hain Aur dil mein koi khoye si baatein hain
Oooo hoooo..
Kehne ko Jashn-e-bahara hai Ishq yeh dekhke hairaan hai
Phool se khusboo khafa khafa hai gulshan mein Chupa hai koi ranj fiza ki chilman mein
Hum ne jo tha nagma suna Dil ne tha usko chuna Yeh dastaan humein vaqt ne kaise sunai
Hum jo agar hai gumgee Woh bhi udhar khush to nahi Mulakato mein hai jaise ghul si gai tanhai
Milke bhi hum milte nahi Khilke bhi gul khilte nahi Aankhon mein hai baharein dil mein khiza
Sare sehmein nazare hain Soye soye vaqt ke dhare hain Aur dil mein koi khoye si baatein hain
oooo hoo
Kehne ko Jashan-e-bahara hai Ishq yeh dekhke hairaan hai
Phool se khusboo khafa khafa hai gulshan mein Chupa hai koi ranj fiza ki chilman meinTeksty umieszczone na naszej stronie są własnością wytwórni, wykonawców, osób mających do nich prawa.