Umm..hmm…hmm…hmm… Umm..hmm…dekho na, zara dekho na Tum ho main hoon aur ye tanhaaiyaan hai Dekho na, zara dekho na Kaisi narm si ye parchhaaiyaan hai Suno zara, suno zara, dhadkanon ki sada Suno zara, suno zara, geet khaamoshi ka Suno zara, suno zara, kehti hai…raat kya
Raat hai leke aayi, kitne armaan anjaane Kehti hai sau afsaane, sunta hoon main Raat ne li angdaai, anhoni baat hai hoti Bikhre hai jaise moti chunta hoon main Tumne, ye kya keh diya Meri aankhon mein diye hai jaise jal gaye Tumne ye kya keh diya Meri raaton ke andhere jaise dhhal gaye
Tumse hi toh milke maine jaana hai Sapne kya hote hain ho Tumse hi toh milke maine jaana hai Dil kaise khote hain oh..
Chaandni se pyaari mujhko, in palkon ki chhaaon Tumne basaaya mere dil mein, ik sapnon ka gaaon
Tumne mujhko chaaha toh Mausam rang chhalkaata hai Har pal jee ab gaata hai mere liye
Tumne mujhko chaaha toh Jeevan ki saari raahein Khole hain apni baahein mere liye
Dekho na, zara dekho na Tum ho main hoon aur ye tanhaaiyaan hai Dekho na, zara dekho na Kaisi narm si ye parchhaaiyaan hai
Hmm…tum bin din sune the raatein suni thi Viraani thi chhaayi oh… Ab jaise din chamke raatein mehki hai Tum ho jo hamraahi oh…
Tum bin jaise main thi adhoori Poori ho gayi hoon main Tumko paake jag paaya hai Par khud kho gayi hoon main
Ham dono ne ab jaana, jeene ka matlab kya hai
Pehle kya thi ab kya hai, ye zindagi
Ham dono ne ab jaana, duniya kitni pyaari hai
Paayi kitni saari hai, hamne khushi
Dekho na, zara dekho na Tum ho main hoon aur ye tanhaaiyaan hai Dekho na, zara dekho na Kaisi narm si ye parchhaaiyaan hai
Suno zara, suno zara, dhadkanon ki sada Suno zara, suno zara, geet khaamoshi ka Suno zara, suno zara, kehti hai…raat kya.Teksty umieszczone na naszej stronie są własnością wytwórni, wykonawców, osób mających do nich prawa.