Ab koi aas na umeed Bachi ho jaise Ab koi aas na umeed Bachi ho jaise Teri fariyad ma ga re Mujhme dabi ho jaise,
Jaagte jaagte ik umar kati ho jaise Jaagte jaagte ik umar kati ho jaise Ab koi aas na umeed Bachi ho jaise.
Raste chalte hain Magar paaon thame lagte hain,
Hum bhi is barf ke manzar mein Jame lagte hain,
Jaan baaki hai magar saans ruki ho jaise.
Waqt ke paas latife bhi hain Marham bhi hai Kya karoon main ke mere dil mein Tera gham bhi hai.
Meri har saans Tere naam likhi ho jaise Koi fariyad tere dil mein Dabi ho jaise.
Kisko naraaz karoon Kis se khafa ho jaoon Aks hain dono mere Kis se judaa ho jaoon,
Mujhse kuch teri nazar pooch Rahi ho jaise.
Raat kuch aisi kati hai ke Sehar hi na mili Jism se jaan ke nikalne Khabar hi naa mili.
Zindagi tez bohat tez chali ho jaise Zindagi tez bohat tez chali ho jaise
Kaise bichdoon ke wo Mujhme hi kahin rehta hai Us se jab bachke guzarta hoon Toh ye lagta hai,
Wo nazar chhupke mujhe dekh rahi ho jaise Teksty umieszczone na naszej stronie są własnością wytwórni, wykonawców, osób mających do nich prawa. |
|