Aa na.. aa bhi jaa na intezari hai teri Le ja.. jo rishton ki rezgaari hai teri Woh jo hum roye saath thhe Bheege din aur raat thhe Khaare khaare paani ki kahani woh leja na
Aa na.. aa bhi jaa na intezari hai teri Le ja.. jo rishton ki rezgaari hai teri
Daant kaate, sang baante Khatte meethe ka maza hai Zabaan pe ab bhi taaza saathiya Chand dekha tha jo humne Chaar aankhon se kabhi Kaise dekhun usko tanha saathiya
Daant kaate, sang baante Khatte meethe ka maza hai Zabaan pe ab bhi taaza saathiya Chand dekha tha jo humne Chaar aankhon se kabhi Kaise dekhun usko tanha saathiya
Ho.. kabhi yunhi takna tujhe, yunhi dekhna Kabhi baithe baithe yunhi tujhe sochna Wo pal qaraar ke, woh jo the lamhe pyaar ke Unhe mere khwabon se khayalon se le jaa na
Aa na.. aa bhi jaa na intezari hai teri Le ja.. jo rishton ki rezgaari hai teri
Kabhi roothna woh tera kisi baat par Kabhi hanske taali dena mere haath pe Thode shikve kuch gile Woh jo thhe apne silsile Toote huve waade woh iraade woh le jaa na
Aa na.. aa bhi jaa na intezari hai teri Le ja.. jo rishton ki rezgaari hai teri
Daant kaate, sang baante Khatte meethe ka mazaa hai Zubaan pe ab bhi taaza saathiya Chaand dekha tha jo humne Chaar aankhon se kabhi Kaise dekhun usko tanha saathiya
Daant kaate, sang baante Khatte meethe ka mazaa hai Zubaan pe ab bhi taaza saathiya Chaand dekha tha jo humne Chaar aankhon se kabhi Kaise dekhun usko tanha saathiyaTeksty umieszczone na naszej stronie są własnością wytwórni, wykonawców, osób mających do nich prawa.