Adayein bhi hai, mohabbat bhi hai Sharafat bhi hai mere mehboob mein Woh deewanapan, woh zalim ada Shararat bhi hai mere mehboob mein
Adayein bhi hai, mohabbat bhi hai Nazakat bhi hai mere mehboob mein Woh deewanapan, woh masoomiyat Shararat bhi hai mere mehboob mein
Na poocho mera dil kahan kho gaya Tujhe dekhte hi tera ho gaya Aankhon mein tu, mere khwaabon mein tu hai Yaadon ke mehke gulaabon mein tu hai
Woh sehmi nazar, woh kamsin umar Chahat bhi hai mere mehboob mein Woh deewanapan, woh masoomiyat Shararat bhi hai mere mehboob mein
Saanson ki behti lehar ruk gayi Mujhe sharm aayi, nazar jhuk gayi Ke hum unke kitne kareeb aa gaye Yeh sochke hum toh ghabra gaye
Woh baankpan, woh deewangi Inaayat bhi hai mere mehboob mein Woh deewanapan, woh zalim ada Shararat bhi hai mere mehboob mein
Mohabbat ki duniya basane chala Main tere liye sab bhulane chala Khushboo koi uski baaton mein hai Har faisla uske haathon mein hai
Woh mehka badan, woh sharmilapan Nazakat bhi hai mere mehboob mein Woh deewanapan, woh zalim ada Shararat bhi hai mere mehboob mein
Adayein bhi hai, mohabbat bhi hai Nazakat bhi hai mere mehboob meinTeksty umieszczone na naszej stronie są własnością wytwórni, wykonawców, osób mających do nich prawa.