Parbaton pe baadalon ki zulf khul gayi Oas jagmagaayi shaakh shaakh dhul gayi Jaage nazaare, jaagi bahaarein Jaage zameen aasmaan Aur hum tum, aur hum tum, aur hum tum
Thandi hawaayein, ujli fizaayein Maheka hua yeh sama Aur hum tum, aur hum tum, aur hum tum Gaata hai mausam, gaate hain panchhi Gaati hain yeh vaadiyaan Aur hum tum, aur hum tum, aur hum tum
Phool ko koi kiran jo choomne lagi Zindagi bahaar banke jhoomne lagi
Phool ko koi kiran jo choomne lagi Zindagi bahaar banke jhoomne lagi Raahon mein rangon aur khushbuon ke Nikle haseen kaarwaan
Aur hum tum, aur hum tum, aur hum tum Thandi hawaayein, ujli fizaayein Maheka hua yeh sama
Aur hum tum, aur hum tum, aur hum tum Ho gayi hai reshmi yeh narm roshni Saans mein ghula hua hai geet sa koi
Ho gayi hai reshmi yeh narm roshni Saans mein ghula hua hai geet sa koi Khoyi dishaayein, khoyi hain raahein Khoye hai saare nishaan
Aur hum tum, aur hum tum, aur hum tum Thandi hawaayein, ujli fizaayein Maheka hua yeh sama
Aur hum tum, aur hum tum, aur hum tum Gaata hai mausam, gaate hain panchhi Gaati hain yeh vaadiyaan
Aur hum tum, aur hum tum, aur hum tum Teksty umieszczone na naszej stronie są własnością wytwórni, wykonawców, osób mających do nich prawa. |
|