Tumhee to they khayalo main Tumhee they bekhayali main
Koi ansu na tehra tha Jhali palkhon ki jaali main
Tumhee paake kaha khush they Tumhe khoke kaha royen
Karen to kya karen koi Agar taqdeer hee soye
Yehi tu raaz e ulfat hai Jo har ansoun ka rukh mora
Bohut khush hai tere Bare main jabse sochna chora
Hain zinda hum magar tumne Diya dukh to nahi thora

Mujhe tum dil pe likhlete Agar taqdeer se pehle
Chalakta ishq rangon se Har ik tasveer se pehle
Ye hum bhi jante hain Kis tarha tumne ye dil tora
Yehi tu raaz e ulfat hai Jo har ansoun ka rukh mora
Bohut khush hai tere Bare main jabse sochna chora
Hain zinda hum magar tumne Diya dukh to nahi thora
Bohut khush hai tere Bare main jabse sochna chora
Abhi kuch aag baki thi Tere milne bicharne ki
Mera tan man bikharne ki Meri sansein ukharne ki
Jo Rishta tumne tora tha Na jane kuyin nahi jora
Yehi tu raaz e ulfat hai Jo har ansoun ka rukh mora
Bohut khush hai tere Bare main jabse sochna chora
Yehi tu raaz e ulfat hai Jo har ansoun ka rukh mora
Hain zinda hum magar tumne Diya dukh to nahi thora
Bohut khush hai tere Bare main jabse sochna chora Teksty umieszczone na naszej stronie są własnością wytwórni, wykonawców, osób mających do nich prawa. |
|