Jitna bhi waqt yeh humne, jaise bhi saath guzaara Meri khushi ka alam, tune kabhi na jana Mere liye har ek pal tha jaise mauj manana Dil ki gehrayion mein jhaank zara
Dheere se yeh kahani mitt ne lagi kuch yun ke Sab kuch hai toot gaya par aakhir main kuch khush hoon kyun ke teri khushi mein hi toh meri khushi hai aur yeh ansoo bhi hain khushi ke, baant zara
Aab mujhko yeh ehsaas hai Haan, galti ki thi maine sach saaf hai Par yeh ehsaas bekaar hai kyun ke aab meri saansain do chaar hain
Haan, rab se ek duaa hai Jaana humko jahan hai Us duniya mein tu aur mein, hum saath honTeksty umieszczone na naszej stronie są własnością wytwórni, wykonawców, osób mających do nich prawa.