Door kahin ek aam ki bagiya Ah ha ha aa aa aa aa aa Door kahin ek aam ki bagiya Bagiya mein hai thandi chhaaon Chhaaon mein ek kachcha rasta Raste mein pyaara sa gaaon Gaaon mein ek chhota sa ghar Ghar mein ek ujla sa aangan Aangan mein chandan ka palna Palne mein chanda sa munna Munne ki aankhon mein nindiya
Door kahin ek aam ki bagiya Bagiya mein hai thandi chhaaon Chhaaon mein ek kachcha rasta Raste mein pyaara sa gaaon
Neele neele aasmaan mein Taaron ka hai ek nagar Jagmag jagmag ek taare Par ek shehzaadi ka hai ghar Chupke chupke raat ko Uthke dhyaan se dekhe koi agar Jhilmil jhilmil hai taarein Mein us shehzaadi ke zevar Shehzaadi ithlaaye Shehzaadi yeh gaaye
Door kahin ek aam ki bagiya Aadhi raat jab ho jaati hai Jab duniya so jaati hai Taaron se shehzaadi Utarke munne ke ghar aati hai Meethe meethe saare sapne Apne saath voh laati hai Sote munne ki palkon pe Yeh sapne voh sajaati hai Sirhaane voh aaye Haule se voh gaaye Door kahin ek aam ki bagiya.Teksty umieszczone na naszej stronie są własnością wytwórni, wykonawców, osób mających do nich prawa.